Late night,
Pata nahi mujhe kaisa feel ho raha hai
Jab sochta hun to bas sochta chala jata hun
Jab likhta hun to bas likhta chala jata hun
Kabhi kabhi ya ab toh aur zyada aisa lagta hai
Ki zindagi ka matlab aur maksad dono hi khoj Raha hun.
Bas chala Jaa Raha hun kyun pata nahi kisliye ye bhi pata nahi.
Kyun hi jeena hai ab mujhe
Samajh nahi ata jaise..
Zimmdariyan hain.. shayad isliye mai bhi hun..
Jab ye nahi hongi to meri bhi koi zindagi aur zarurat nhi hai shayad
Khushiyan to alag hi jaise pareshan h bechari mujhse
Thore der bhi aakar bore ho jati h
Feeling low, ise mai bahut pasand hun, wapis aa hi jati h turant, jaldi se jaldi aur sath hi rehti h jaati nahin..
Aisi hi zindagi hai
Sochta hun mujhe aur zyada chup rehna sikhna chahiye
Jitna bolunga utna zyada pata chalega mujhe ki mai andar se Tut rha hun
Haan koi baat nahi
Dekhte hain kal ka din abhi dekhna baki to hai..
Comments
Post a Comment