Skip to main content

Posts

Showing posts from September, 2026

24.09.2026 kuch din to aise hi hote hain

Kuch din to aise hi hote hain.. Aj dekhta hun to lagta hai kaam se ghar kyun aya hun pata nahi ghar se kaam ke liye bhi kyun jaa Raha hun pata nahi Khoya hua sa hun kaam par jane me thora to sukoon hai Ghar par maa ke sath hone me bhi sukoon hai fir bhi  is shaant se mahol me kuch to mann ko aur bhi zyada shant sa kiye jaa raha hai Shayad mann ko itna bhi shant nahi hona tha ki kuch bolne ki bhi ichcha na ho dekhte hain kuch to kar hi lenge.. haar nahi maan ni hai, kisi ko taqlif nahi honi chahiye bas.. zindagi to chalti rehti hai ab lagta to hai kafi kuch zindagi me dekh liya hai aur aisa bhi lagta hai ki dukh ya khas gehre din zyada karib chalte hain mujhse, mujhe zyada pasand karte hain ye.. par thik hai- ab bhi zinda hun in sabhi ke bad, sansein chal rahi hain, zarur koi kaam aur kuch zimmedari ab bhi baki hai khushiyan kahin piche chut gayi hain shayad, jaise ruthi nahi, anjaan hi ho ek bar ko aati hai fir jaate der nahi lagati, mai shayad unki talash me zyada pareshan hun.. A...