Wo jo bhi yad ata hai Wo sab tumse hai Ye jante hue bhi Ki kya khoya hai aap use paa nhi paa rahe Ye bebasi badi kaatil hai Aansu jo behte chale gye kbhi taklif unse hoti thi Aur jo aansu palkon ki tehleez utar hi na sake Unka dukh kon hi bayan kare Bas lamhe karib khayal hain pas Wo batein unka milna sab aj h yad Kal bhul gaya to shyd Khud b sakun na kar khud ko maaf Ye likhna bas tarika hai Kuch taraane hain mann ke khas Paas hi rkhta hu aziz hain bade Khayal apke hriday ke nyas Wo utarne par aaun to kitna hi likh paunga Kya sab lamhe likhna itna bhi aasan hai Uthaun kisi shayar ka kalaam aur dun mann ko thori rahat Kuch to jee gya hai wo mere mann ki baat
Living Lifeless.. but to the fullest