Wo jo bhi yad ata hai
Wo sab tumse hai
Ye jante hue bhi
Ki kya khoya hai aap use paa nhi paa rahe
Ye bebasi badi kaatil hai
Aansu jo behte chale gye kbhi taklif unse hoti thi
Aur jo aansu palkon ki tehleez utar hi na sake
Unka dukh kon hi bayan kare
Bas lamhe karib khayal hain pas
Wo batein unka milna sab aj h yad
Kal bhul gaya to shyd
Khud b sakun na kar khud ko maaf
Ye likhna bas tarika hai
Kuch taraane hain mann ke khas
Paas hi rkhta hu aziz hain bade
Khayal apke hriday ke nyas
Wo utarne par aaun to kitna hi likh paunga
Kya sab lamhe likhna itna bhi aasan hai
Uthaun kisi shayar ka kalaam aur dun mann ko thori rahat
Kuch to jee gya hai wo mere mann ki baat
Comments
Post a Comment