Apni hi tarah se aap kya keh sakte hain Baki sabhi se Ye sochne bhar ki baat hai Sochiye zara aur bataiye Ki kya hai aur kaisa hai ye sab Kuch baatein samajhni mushkil si to hain par Kya ye baatein khud se kehna zaruri nahi hai apka Hai na? To phir.. itna sochna hi kyun, khud se keh daliye Zindagi ka bharosa ho na ho, apke Mann ka kam hi hai kyunki waqt aisi chiz hai jo har parat aur haalat par apni ek chadar odha hi jaati hai Aur fir us chadar se bahar nikalne me un baaton aur kahaniyon ko itne baras lag jate hain ki fir apko feeling aati nostalgia ki Feeling nostalgic.. ye kehna padta hai apko Par dekhein zara dhyan se to apka vyaktitva aur wo baatein sab apke sirhane hi hamesha reh jati hai, bas apko zara mudkar use dekhne bhar ki der hai Wo saari kahaniyan kisse yaadein baatein sab samne aane me der hi kahan lagti hai Haan, wo alag baat hai ki aapp apni aaj ki zindagi me itna vyast ho ki in baaton ko samajhna utna aasan na ho apke liye. Par baki chizon aur hisson ki tara...
Living Lifeless.. but to the fullest