Skip to main content

Posts

24.09.2026 kuch din to aise hi hote hain

Kuch din to aise hi hote hain.. Aj dekhta hun to lagta hai kaam se ghar kyun aya hun pata nahi ghar se kaam ke liye bhi kyun jaa Raha hun pata nahi Khoya hua sa hun kaam par jane me thora to sukoon hai Ghar par maa ke sath hone me bhi sukoon hai fir bhi  is shaant se mahol me kuch to mann ko aur bhi zyada shant sa kiye jaa raha hai Shayad mann ko itna bhi shant nahi hona tha ki kuch bolne ki bhi ichcha na ho dekhte hain kuch to kar hi lenge.. haar nahi maan ni hai, kisi ko taqlif nahi honi chahiye bas.. zindagi to chalti rehti hai ab lagta to hai kafi kuch zindagi me dekh liya hai aur aisa bhi lagta hai ki dukh ya khas gehre din zyada karib chalte hain mujhse, mujhe zyada pasand karte hain ye.. par thik hai- ab bhi zinda hun in sabhi ke bad, sansein chal rahi hain, zarur koi kaam aur kuch zimmedari ab bhi baki hai khushiyan kahin piche chut gayi hain shayad, jaise ruthi nahi, anjaan hi ho ek bar ko aati hai fir jaate der nahi lagati, mai shayad unki talash me zyada pareshan hun.. A...
Recent posts

31.08.2026

Late night again The dawn aa moved past, night has taken over with slight darkness outside and more here inside. I can't see any ray of hope directly around me but I do see some reflections on the wall. Don't know where these are going to take me further. Another day, without you, moving past, actually moved past and here I am still the same. I feel sad and more sad when I see am at the same point as yesterday and still here alone. Not able to understand anything beyond what I can understand and I this line also, nothing is coming to my mind. I feel blank, just blank, what is happening, where am I going and why? Don't know the answer to these riddles doing the rounds. In the mornings I walk and in the nights I run, run from myself, as I feel more of me with her than myself. I want to listen to her, see her animated faces over and over again, just that. But there is no way available and am not able to look any real distance, anything for real ahead. I never knew waiting is t...

30.08.2026

Late night, Pata nahi mujhe kaisa feel ho raha hai Jab sochta hun to bas sochta chala jata hun Jab likhta hun to bas likhta chala jata hun Kabhi kabhi ya ab toh aur zyada aisa lagta hai Ki zindagi ka matlab aur maksad dono hi khoj Raha hun. Bas chala Jaa Raha hun kyun pata nahi kisliye ye bhi pata nahi. Kyun hi jeena hai ab mujhe Samajh nahi ata jaise.. Zimmdariyan hain.. shayad isliye mai bhi hun.. Jab ye nahi hongi to meri bhi koi zindagi aur zarurat nhi hai shayad  Khushiyan to alag hi jaise pareshan h bechari mujhse Thore der bhi aakar bore ho jati h Feeling low, ise mai bahut pasand hun, wapis aa hi jati h turant, jaldi se jaldi aur sath hi rehti h jaati nahin.. Aisi hi zindagi hai Sochta hun mujhe aur zyada chup rehna sikhna chahiye  Jitna bolunga utna zyada pata chalega mujhe ki mai andar se Tut rha hun Haan koi baat nahi Dekhte hain kal ka din abhi dekhna baki to hai..

Milna Tera

Yun likhte likhte  Kahin hath na thak jaye Milna Tera mushkil sahi Milna Tera mushkil sahi Aitbar aj bhi hai Mann ke us ek kone me Wo intezar aj bhi hai Yun tasveer ke har ek tassavur me Khojta wo chehra mai Wo masoom muskurahat yad aj bhi hai Tum milna zarur  Aur miloge tum Zarra zarra  Kehta ye aj bhi hai Aur mere har ek khayal ko aakar deti Akriti wo har bar ek hi hai Aadhar bana liya hai tumhe Aadharit wo mujhme aj bhi hai Fir wo akar mere khayal ko chuna Fir wo baaton me baaton ka hona Aage aane wale ka kya hai Jo beet rhi thi uske ehsaason ka hona Wo phulon ki baat aj bhi hai Kya kabhi ye thik ho payega Ya jo hai wo thik hi hai Is uljhan me fase rehne ka naam aur kasak aj b hai

Apni hi tarah se

Apni hi tarah se aap kya keh sakte hain Baki sabhi se Ye sochne bhar ki baat hai Sochiye zara aur bataiye  Ki kya hai aur kaisa hai ye sab Kuch baatein samajhni mushkil si to hain par Kya ye baatein khud se kehna zaruri nahi hai apka  Hai na? To phir.. itna sochna hi kyun, khud se keh daliye Zindagi ka bharosa ho na ho, apke Mann ka kam hi hai kyunki waqt aisi chiz hai jo har parat aur haalat par apni ek chadar odha hi jaati hai Aur fir us chadar se bahar nikalne me un baaton aur kahaniyon ko itne baras lag jate hain ki fir apko feeling aati nostalgia ki Feeling nostalgic.. ye kehna padta hai apko Par dekhein zara dhyan se to apka vyaktitva aur wo baatein sab apke sirhane hi hamesha reh jati hai, bas apko zara mudkar use dekhne bhar ki der hai Wo saari kahaniyan kisse yaadein baatein sab samne aane me der hi kahan lagti hai Haan, wo alag baat hai ki aapp apni aaj ki zindagi me itna vyast ho ki in baaton ko samajhna utna aasan na ho apke liye. Par baki chizon aur hisson ki tara...

Irada

Han is baar kuch aise hi Jeene ka irada kiya gya hai Khud ko khud se hi Todne ka wada kiya gya hai.. Judne ka nasib sabhi ko Milta kahan hai Sirf yaadon ko jeene ka ishara Diya gya hai

How's the vibe. . Luck Factor

सोचना थोड़ा मुश्किल है मगर अगर आप ध्यान से देखें तो आस पास कई बातें ऐसी हैं जो आपके सीखने लायक है रोज़ ही। ऐसी बातें का कुछ खास मतलब नहीं होता मेरा मतलब ये सभी बातें इस बात पर तय होती हैं कि आज आपका मानसिक मिज़ाज कैसा है कहीं आप अंदर से बहुत खुश या दुखी तो नहीं कहीं आपको किसी वस्तु विशेष की तीव्र सी इच्छा तो नहीं महसूस हो रही कहीं आप संवेदनशील तो महसूस नहीं कर रहे इसे समझने की ज़रूरत है क्योंकि हर एक मसले और वाख्ये घटने  या ना घटने के पीछे कई पहलु, कई फलसफे, कई मुद्दे, अनेकों कारण हो सकते हैं वास्तविक तौर पर हर किसी को ध्यान में रखना तो करीब ना मुमकिन ही मालूम पड़ता है और शायद ये करने की ज़रूरत भी नहीं है। यहीं पर भाग्य का शब्द जन्म लेता है। यही वह परिस्थिति है जहां आप उतना ही कर पाते हैं जो आपके हाथ में है और बाकी सारा का सारा वो करते हैं जिन्हें आप जानते भी नहीं या जान भी नहीं सकते। कितना अनिश्चित है यह सब। तो ऐसी परिस्थिति में भी सभी के साथ होने वाली घटनाओं का फल एक स्वरूप एक समान नहीं होता। ऐसा क्यों, इसके भी कई कारण हो सकते हैं। मगर जो एक कारक इन सभी परिदृश्यों में भी एक बराबर...